Monday, March 18, 2019

bazar e sham zainab

bazar e shaam zainab Haaye..Haaye.. Zainab aur shaam..(2) Nabi ke roze par, sadaat ye karte the buka ghareeb zainab kaise bhulaye shaam balo ki safedi... har zakhm dil ka, neel rasan ke chashm e sajjad se wo behte hue khoon ke aansu kehte hai.. bazaar e shaam zainab, darbaar e shaam zainab..(2) zindan e shaam zainab kaise bhulaye bazaar e shaam zainab, darbaar e shaam zainab.. zindan e shaam zainab kaise bhulaye 1. Gyarah (11) moharram karbobala se shaam chali Ahmed ki nawasi saath alam ke surkh pharera naizo pe sar chehro pe udaasi lekar nishaan.. zainab be sayebaan.. zainab thi nauha khwaan.. zainab kaise bhulaye bazaar e shaam zainab, darbaar e shaam zainab.. zindan e shaam zainab kaise bhulaye 2. Shaam sheher mein jis dum pohche mehwe buka thi aale payambar shehnayi ki goonj thi har soo aag barasti thi kahi'n patthar ghum se nidhaal.. zainab thi pur malaal.. zainab wo istaqbaal.. zainab kaise bhulaye bazaar e shaam zainab, darbaar e shaam zainab.. zindan e shaam zainab kaise bhulaye 3. Shehr e halab mein qafla pohcha taaza qayamat waqt ne dhayi gard e safar chehro pe padi thi shiree'n hamein pehchaan na payi kunbe ki zayn.. zainab wo shoro shayn.. zainab shiree'n ke bayn.. zainab kaise bhulaye bazaar e shaam zainab, darbaar e shaam zainab.. zindan e shaam zainab kaise bhulaye 4. Naize pe dekha akbar ka sar kufe mein boli ek zaeefa aye kaash teri maut se pehle mar gayi ho teri madar dukhiya lab tashnkaam.. zainab han wo kalaam.. zainab badr-ut-tamaam.. zainab kaise bhulaye bazaar e shaam zainab, darbaar e shaam zainab.. zindan e shaam zainab kaise bhulaye 5. Chalte hue naaqe se giri thi raah mein jab masoom sakina dhundhne nikli zainab dukhiya daadi ke pehlu mein use paaya thi beqaraar.. zainab aa dil figaar.. zainab maa ki pukaar.. zainab kaise bhulaye bazaar e shaam zainab, darbaar e shaam zainab.. zindan e shaam zainab kaise bhulaye 6. Shaam ki galiyo'n aur koocho mein nauha kuna aulad e nabi thi ehle haram sab be parda the charo taraf mahaul sharabi bint e ameer.. zainab hoke aseer.. zainab nazro ke teer.. zainab kaise bhulaye bazaar e shaam zainab, darbaar e shaam zainab.. zindan e shaam zainab kaise bhulaye
7. Ehle haram ke dil pe likhi hai kaan'to bhari abid ki musafat wo tees ghante kaise bhulaein aale nabi aur baab e sa'at jab pehli baar.. zainab pohchi darbaar.. zainab wo intezaar.. zainab kaise bhulaye bazaar e shaam zainab, darbaar e shaam zainab.. zindan e shaam zainab kaise bhulaye 8. Pehli majlis qaid e jafa mein barpa hui irfan aur mazhar pohchi madine paa ke rehayi nana se boli zainab e muztar bazaar e shaam.. zainab darbaar e shaam.. zainab zindaan e shaam.. zainab kaise bhulaye bazaar e shaam zainab, darbaar e shaam zainab.. zindan e shaam zainab kaise bhulaye Zainab aur shaam

1 comment:

Kabi Kabi Main Yea Sochta Hung (Mir Hassan Mir Manqabat 2019) Yea Sochta Hunng Kabi Kabi Main Ay Saqi Salman MainKuch Soch Raha HUng (2)...