Monday, March 18, 2019

Abbas sughra se kaho

Abbas sughra se kaho Na jao.. na jao Haaye.. Qafla jab ke rawana tha sue karbobala aake abbas se kehne lagi rokar sughra chacha jaan aapki baat mere baba nahi talenge aap baba ko manalenge chacha jaan le chaliye mujhe karbobala saath chacha jaan, le chaliye mujhe karbobala saath Maula abbas ne jakar ye shahe dee'n se kaha bibi zidd karti hai le chaliye use karbobala..(2) Hussain ya hussain... Hussain bole.. Aye mere bhai alamdaar Abbas sughra se kaho, tum ghar mein raho abbas, abbbas, abbas..(2) 1. Hum jaha'n jaenge mahaul sharabi hoga sar chupane ke liye hogi mayassar na rida sabr karna shahzadi ek sabab hai aur magar tum shabih e fatima ho mai kaise tumhe le jau karbala Abbas sughra se kaho, tum ghar mein raho abbas, abbbas, abbas..(2) 2. Door dariya se mere khaime lagenge beta aur haftum se sabhi pyaase rahenge beta sabr karna shahzadi honge haram bhi khaak basar tum shabih e fatima ho mai kaise tumhe le jau karbala Abbas sughra se kaho, tum ghar mein raho abbas, abbbas, abbas..(2) 3. Subh e ashoor ke aasar jo honge muztar khoon royenge sabhi sunke azaan e akbar sabr karna shahzadi wo hai shabih e payghambar tum shabih e fatima ho mai kaise tumhe le jau karbala Abbas sughra se kaho, tum ghar mein raho abbas, abbbas, abbas..(2) 4. Dekh sakti hi nahi aisa wo manzar hoga halq par mere rawa'n shimr ka khanjar honga sabr karna shahzadi hongi waha'n pe khud madar tum shabih e fatima ho mai kaise tumhe le jau karbala Abbas sughra se kaho, tum ghar mein raho abbas, abbbas, abbas..(2)
5. Beta phir sham e ghareeba'n mein chinegi chadar khaime jal jaenge phir hogi qayamat ki sahar sabr karna shahzadi shaam ki janib hoga safar tum shabih e fatima ho mai kaise tumhe le jau karbala Abbas sughra se kaho, tum ghar mein raho abbas, abbbas, abbas..(2) 6. Shaam ki galiyo'n se, bazaro se, guzrenge haram pehle darbaar mein phir qaid mein jayenge haram sabr karna shahzadi qaidi rahenge tashna jigar tum shabih e fatima ho mai kaise tumhe le jau karbala Abbas sughra se kaho, tum ghar mein raho abbas, abbas, abbbas..(2) 7. Ek ek lafz hai mazhar tera irfan e azaa kehke ye rone lage sayyad e zeeshan e azaa sabr karna shahzadi tum se rahe aabad ye ghar tum shabih e fatima ho mai kaise tumhe le jau karbala Abbas sughra se kaho, tum ghar mein raho abbas, abbbas, abbas..(3)

1 comment:

Kabi Kabi Main Yea Sochta Hung (Mir Hassan Mir Manqabat 2019) Yea Sochta Hunng Kabi Kabi Main Ay Saqi Salman MainKuch Soch Raha HUng (2)...