Monday, March 18, 2019

Ali ya ali haider

Ali ya ali haider Ali ya ali, haider..(4) Ash hadu anna aliyan waliyullah Parsaa Ye ishq baba deta hai...parsaa Dar dar pe bhatakna chod de..(2) ghairo ke dar pe aana jaana chod de jo baan't raha hai rizq e hunar..(2) tu bhi usi se lau laga..(2) darwesh sifat hojaa... haider, haider ya haider, haider asadullah, ainullah, samiullah, wajhullah darwesh sifat hojaa tab dil mein haider aaenge. Salman yehi samjhata hai..(2) aur malik e ashtar kehta hai haider ya haider.. asadullah, ainullah, samiullah, wajhullah 1. Aajaye ajal to marta nahi ye wasf bhi haider rakhta hai ghutne se naan e jabi tode angusht pe khaiber rakhta hai haider to usi ko kehte hai..(2) jo aql e bashar se baala hai haider, haider ya haider, haider asadullah, ainullah, samiullah, wajhullah darwesh sifat hojaa... tab dil mein haider aaenge. 2. Allah mera mausoof nahi na dekh falak ki janib tu darwesh ki fitrat mein dhalja aaega samajh mein allahu padh nehje balagha ghaur to kar..(2) tauheed ka pehla khutba hai haider, haider ya haider, haider asadullah, ainullah, samiullah, wajhullah darwesh sifat hojaa... tab dil mein haider aaenge. 3. Wash shams bhi haider maula hai, wallayl bhi sura e kausar bhi Me'raj ki shab ye raaz khula hai wahi hijab e akbar bhi wo kaun hai, kya hai, kabse hai?..(2) insaan isi mein uljha hai haider, haider ya haider, haider asadullah, ainullah, samiullah, wajhullah darwesh sifat hojaa... tab dil mein haider aaenge.
4. Khaliq ki gawahi mursal hai, mursal ki gawahi haider hai takhleeq ke din se aaj talak har pal ki gawahi haider hai jab kuch bhi nahi tha, tab mai tha..(2) ye sirf ali ka daawa hai haider, haider ya haider, haider asadullah, ainullah, samiullah, wajhullah darwesh sifat hojaa... tab dil mein haider aaenge. 5. Kya marhab o antar ke qisse, ye baat purani hai logo wo waqt e shahadat ka manzar ye asl kahani hai logo darwesh bano tab samjhoge..(2) kya fuzto bi rabbil kaaba hai haider, haider ya haider, haider asadullah, ainullah, samiullah, wajhullah darwesh sifat hojaa... tab dil mein haider aaenge. 6. Irfan e azaa, irfan e wila sab ishq e ali se milta hai har phool wila ki khushbu liye tauheed ke dil mein khilta hai wo mazhar e yazdaa'n ka mazhar..(2) aayat e wila ka maqta hai haider, haider ya haider, haider asadullah, ainullah, samiullah, wajhullah darwesh sifat hojaa... tab dil mein haider aaenge. Ali ya ali, haider..(4)

No comments:

Post a Comment

Kabi Kabi Main Yea Sochta Hung (Mir Hassan Mir Manqabat 2019) Yea Sochta Hunng Kabi Kabi Main Ay Saqi Salman MainKuch Soch Raha HUng (2)...