Saturday, March 16, 2019

Sare qabr e zehra ali ro rahe hai

Sare qabr e zehra ali ro rahe hai Zehra... zehra.. zehra... zehra... Andhere andhere yateemo se chup kar sare qabr e zehra ali ro rahe hai Ya zehra, ya zehra 1. Tumhari musibat bhulaunga kaise mai bachho se aasu chupaunga kaise tumhe yaad karke jo royenge bachhe mai bachho ko apne manaunga kaise tasawwur mein zehra se karke ye baatein jhukaye sar apna ali ro rahe hai 2. Ya zehra, ya zehra kabhi aasuo'n ko chupati hai zainab kabhi bhaiyo ko uthati hai zainab kabhi ghar ke aangan mein aati hai zainab kabhi maa ke hujre mein jaati hai zainab kabhi roke dukhiya ye karti hai nauha utho amma fizza ali ro rahe hai 3. Ya zehra, ya zehra Utho shahzadi hua hai andhera tumhare bina wo kaha'n so sakega mai jaunga wapas to bolega baba meri maa kaha'n hai bula do khudara akele jalakar charagh aasuo'n ka sare qabr e zehra ali ro rahe hai 4. Ya zehra, ya zehra Hai shehre nabi mein samaa karbala ka na koi tasalli na koi dilasa taraste hai ghar mein yatiman e zehra koi aake deta nahi inko pursa hussain o hasan ka kahi'n par hai girya kahi'n mere maula ali ro rahe hai 5. Ya zehra, ya zehra kabhi is jagah ko na bhulenge maula ye kucha hai maqtal dil e murtaza ka yaha'n se na guzre hasan baad e zehra sitamgar ne maara tha yu taziyana Mohammad ki beti zamee'n par giri thi yaha'n baithe tanha ali ro rahe hai 6. Ya zehra, ya zehra Wo lamhe hai mushkil ali ko bhulana wo pehlu pe jalte hue darr ka girna wo aaho'n ka bharna wo zakhmo ka ghisna shahadat wo mohsin ki zehra ka rona takallum abhi tak isi bekasi par lahad mein bhi maula ali ro rahe hai Andhere andhere yateemo se chup kar sare qabr e zehra ali ro rahe hai..(3)

No comments:

Post a Comment

Kabi Kabi Main Yea Sochta Hung (Mir Hassan Mir Manqabat 2019) Yea Sochta Hunng Kabi Kabi Main Ay Saqi Salman MainKuch Soch Raha HUng (2)...